Dosto aapne NOKIA ka ek purana phone ka model 3310 ko to kabhi na kabhi use kiya hi hoga, ji han dosto main bat kar rha hun ab tak ka sabsse legend phone NOKIA 3310. Dosto ye wahi phone hai jise ham bahut phle use kiya karte thee, Jiski battery mano kabhi khatam hi nhi hoti thi kabhi kabhar charge kar diya to kar diya warna nhi. Dosto is phone ko nokia ne bahut pahle sayad 10-12 sal pahle hi bannd kar diya tha. Lekin ye ab wapas aa chuka hai to maine socha ki iski information aap logon ke sath share karta hun to aayaiye iske bare me oor adhik jante hain.
Dosto nokia ne ye phone abhi bahar ke deshon me aaj yanai 27 Feb 2017 ko launch kar diya hai. India me expected date hai 31 March 2017 to agar aap ye phone lena chahte hain to thoda sa wait karna padega.
Is phone ke specification ki bat karen to ye
Dosto nokia ne ye phone abhi bahar ke deshon me aaj yanai 27 Feb 2017 ko launch kar diya hai. India me expected date hai 31 March 2017 to agar aap ye phone lena chahte hain to thoda sa wait karna padega.
Is phone ke specification ki bat karen to ye
- Is phone me aapko colorful screen milti hai
- ye phone na to 4G hai na 3G isme 2G support hai, yani pichle bar se bahut accha hai.
- Is phone me aapko milta hai 2 Mega pixel ka camera wo bhi LED flash ke sath.
- Iski 2.4 inch ki screen hai
- Oor dosto ye DUAL Sim phone hai
- Iski battery life kafi acchi hai, jisme aap ko milta hai 22 hour ka talk time or 1 mahine ka battery stand by
- Isme aapko milta hai 16 MB (Bahut kam :( ) ka internal memory, plus aap 32 GB tak ka MicroSD dal sakte hain
Price (In India) hai 3,500 Rs !
My Honest Oppinions :)
Ab dosto meri oppinion ki bat karen to ye phone pichle wale phone se to kafi jayada specification hain, purana wala phone iske mukable kafi simple tha. Lekin mujhe nhi lagta ki ye phone kuch khas hai log soch rahe the ki unhe wahi purana wala design milega.
Is phone ki price bhi kafi jayada hai.
Dosto ye mera opinion hai. Agar aapko ye phone accha lagta hai to aap ise bejhijak kharid sakte hain. Meri mane to aap ye phone secondary phone ki tarah use kar sakte hain.
No comments:
Post a Comment