What is I’m Feeling Lucky button in Google and How to use it? - Technical Next - Hindi & English

Technical Next - Hindi & English

Tech News | Review | Tips & Tricks | More.. In Hindi & English

Ads

PayOffers.in

Latest Update

LATEST UPDATES
» Asus ZenFone V» Nokia 9 Leaked» Panasonic Eluga Ray 500» How to Enable Multiple User Accounts on Any Android Device» 5 Best Chrome Extensions (Part 2)» 5 Best Chrome Extensions (Part 1)

Wednesday, June 21, 2017

What is I’m Feeling Lucky button in Google and How to use it?

Aaj ki is post me main aap ko Google ka ek popular feature ‘I’m Feeling Lucky’ button ke bare me batane jar aha hun aur sath aapko iska use karna bhi bataunga. Is button ko aap ne Google ke homepage pe jarur dekha hoga lekin kya aap iske bare me jante hain? Agar nahi to chaliye jante hai iske bare men.

Kya hota I’m Feeling Lucky button?

Google ke home page  par do buttons hote hain pahla hota hai Google Search ka jo search results ki list ko aap ke samne rakhta hai aur I’m Feeling Lucky button us search results ki list me se sabse pahle link par aap ko sedhe redirect karta hai ya pahunchata hai.

Iske faide aur nukshan kya kya hain?

Ye button aap ke liye tab faidemand hai jab aap ko vishwash ho ki Google par aane wala pahla search result aap ko usi page par le jayega jahan par aap jana chahte hain. Is tarah ye aap ke time ko bachata hai.
Aur agar aap ko iske pahle search par wishwash nhi hai to iska use mat kijiye kyoki isse aap ka time waste ho sakta hain.

Iska kaise istemal Karen?

Aaj kal iska istemal karna thoda muskhil ho gaya hai kyoki ab aap apne Google search box me kuch bhi type karte ho to ye fataphat results dikhane lagta hai aur phit ye button aap ke samne nhi aap pata. Aur is feature Instant Search Kahte hain. To aap koi se use karne ke liye Instant Search feature ko off karna hoga.
Ise off karne ke liye pahle Google ke homepage par jayen phir Settings par click kar ke Search settings par click Karen. how to use i am feeling lucky button


Uske bad ek page open hoga usme Never show Instant results par check Karen phir Save par click kar ke Instant results ko off kar den.
how to use i am feeling lucky button


Phir kya ab Google par ja kar apni manchahi site ka nam type Karen aur I’m Feeling Lucky button par click Karen.
save image
Uske bad aap sidhe website redirect ho jayenge.


Aaiye jante hain is button ke kuch amazing secrets ke bare men.

  1. Aap Google me bina kuch type kiye agar is button par click karte hain to aap Google ke Doodles service ki site par pahunch jayenge.
  2. Agar aap Google me Pacman type kar ke is button par click karte hain to Pacman wala game khel payenge.
  3. Agar aap Google me Google Sphere type kar ke is button par click karte hain to Google ka homepage gol gol ghumne lag jayega.
  4. Aur agar aap Google me Google Gravity type kar ke is button par click karte hain to Google ka homepage tutkar 0 gravity me pahunch jayega.


save image
Dosto mujhe ummid hai aap sabhi ko meri ye post pasand aai hogi. Agar pasand aai hai to ise apne friends aur relative ke facebook, twitter aur G+ par jarur share Karen.

Dhanywad!

No comments:

Post a Comment

Ads

PayOffers.in

Subscribe SMD News-Jara Hatke